Monday, February 1, 2016

Khoyi muskaan

Kal fir mujhe teri yaad aayi, yaad aayi saath apne soonapan laayi. Kitne dur ho gye is baat ka ehsaas layi.
Fir ek ehsaas hua , akelepan se man udaas hua.Kya vichitra duvida mai fasa diya ,jo tujhse mai dur hua.
Fir ek khyaal aaya, apne sang swaal laya .. Kahan gaya vo lamha, jo mere liye sirf  muskaan laya.
Fir is baare mai kafi soch vichara, socha bahut par koi hal nahi nazar aaya.. Kya kisi aur ko bhi ye khayal aaya.
Fir man mai uljhan laagi, tujhse baat karne ki iksha jaagi.. Baat hui par uttar na milne par fir mayusi chaai.
Fir gya bhagwan ke pass , leke man mai ek he aas .. Kyu banaya sansar jab nahi reh paya koi ek dusre ke pass.
Fir mila jwaab kuch aaisa ki, jo saath mai hai uski kadar nahi.Kyu kal ko leke rota hai , jab aaj se tujhe santosh nahi.
Fir kiya apne aap se vada , na thoda kam na bahut jyada.Kyuki kahin nahi hai  khusi is lamhe se jyada.
Fir man mai ek leher jaagi, chehre par fir muskaan aayi.. Kise pta tha is lamhe ki keemat, dekho ye subah kitna umang laayi..

No comments:

Post a Comment