Saturday, April 2, 2016

Ehsas

Kyu kuch aaise hota hai, aur sab kuch kaise hota hai.
Kyu koi kal ko leke rota hai, aur kal fir koi roya tha..
Mai jaga jaga rehta hu, ya kal kuch jayada soya tha...
Jo kal mai nahi keh saka, vo aaj batana chahta hu..
Un choti moti yadoon se, kuch pal bitana chahta hu..
In raton se muskan bani, jo kal kahi thi kho gyi..
Kyu hota hai ye kyu hota hai vo, is bat par ek rat gyi..
Subah hui suhani, ek kagaz utha kar laya hu..
Mai fir un panno ko, awaz banana chahta hu..
pal gya vo sama gya, ab yad sabhi ko karta hu
bhuli hui yaadon se, ehsas jagana chata hu..
man ek uljhan, hoton par ek sawal hai..
yaadon mai zinda ho, fir bhi dil behal hai..
kal ko leke  soch chuka, aaj mera pareshan hai..
jo aaj mera haal  hai, kya vo tera bhi haal hai..
ek sawalo ka dariya hai, pag pag chalta jata hai..
smay ke is khel ko, jawabo se dhakte jana hai..

No comments:

Post a Comment